Bharat me hum gaay ko maa kehte hain, aur maa maan ke hi hum unka doodh peete hain.
Par yahi maa ko hum road par koode ki tarah fek aate hain, jab wo humare kisi kaam nahi rehti.
Road par yeh bhookhe pyaase dar dar bhatakti hai, khana toh milta nahi, patthar zaroor milte hain, aur na jane kaun kaun si bimariyon se joojhna padta hai.
Kya sahi mein humein haq hai gaay ko maa kehne ka?